Manti hu galti meri thi,
Par kya galti sirf meri thi?
Tune bhi to piche mud ke dekhna sahi nahi samjha,
Mai mudkar rukungi, Tune aisa kyu hai samjha?
Teri baron me ek dard tha us din, Tune mujhe btaya tha,
Par kya tune meri baton me kabhi bhi dard ko chipa hua paya tha?
Narazgi teri bhi thi, or meri bhi,
Par kyu tera ruthna ruthna, or mera ruthna ek mazak sa lagta tha,
Ja ke puch le us rab ko, kitna royi hu mai,
Tere jane se khud me hi kitna khoyi hu mai,
Tujhse ab ummid bhi kya karu,
Tujhe jana tha, so chala gya tu
Par ek ummid mujhe aaj bhi hai tujhse,
Tere khat ka intezaar mujhe aaj bhi hai tujhse
Chal aaj mai khudko galat or tujhe mai sahi kehti hu
Galti chahe kisiki bhi ho
Mai khud ko gunehgaar kehti hu….